Mujhe duniyawalon. sharabi na samjho, Mai peeta nahi hun. pilayi gayi hai. Jahan bekhudi mein. kadam lad-khadaye, Wahi rah mujhko. dikhayi gayi hai. Nashe me hun lekin.Mujhe ye khabar hai Ki is zindagi mein sabhi pee rahe hai Kisi ko mile hain chalakte piyale. Kisi ko nazar se pilayi gai hai. Kisi ko nasha hai. Jahan me khushi ka Kis ko nasha hai. Gham-e-zindagi ka. Koi pee rha hai. Lahu aadmi ka. Har ek dil masti. Rachayi gayi hai. Zamane ke yaron. Chalan hain nirale, Yahan tan hain ujale. Magar dil hain kale Ye duniya hai duniya Yahan mal-o-zar me Dilon ki kharabi. Chhupayi gayi hai. |