Zindagi Maut Na Ban Jaye
Zindagi maut na ban jaye sambhalo yaro
Kho raha chain-o-aman
Kho raha chain-o-aman
Haan mushkilon mein hai watan
Sarfaroshi ki shama dil me jala lo yaro
Zindagi maut na ban jaye sambhalo yaro
Ik taraf pyar hai chahat hai wafadari hai
Ik taraf desh mein, desh mein
Ik taraf desh mein dhokha hai gaddari hai
Bastiyaan sehmi hui sehma chaman sara hai
Gam me kyu dooba hua aaj sab nazara hai
Aag paani ki jagah abra jo barsaayenge
Lehlahaate huye sab khet jhulas jaayenge
Jaayenge jaayenge
Kho raha chain-o-aman
Haan mushkilon mein hai watan
Sarfaroshi ki shama dil me jala lo yaro
Zindagi maut na ban jaye sambhalo yaro
Chand sikko ke liye tum na karo kaam bura
Na karo kaam bura, na karo kaam bura
Na karo kaam bura, na karo kaam bura
Har buraai ka sada hota hai anjam bura
Har buraai ka bas hota hai anjam bura
Anjam bura, anjam bura, anjam bura
Anjam bura, anjam bura
Zurm waalo ki kahan umra badi hai yaro
Inki raahon me sada maut khadi hai yaro
Zulm karne se sada zulm hi haasil hoga
Jo na sach baat kahe woh koi buzdil hoga
Sarfarosho ne lahu de ke jise sincha hai
Aise gulshan ko ujadne se bacha lo yaro
Zindagi maut na ban jaye sambhalo yaro