jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko mil jaye taruvar ki chhaya aisa hi sukh mere man ko mila hai mai jabse sharan teri aya, mere ram bhataka hua mera man tha koi mil na raha tha sahara laharo se ladati hui nav ko jaise mil na raha ho kinara mil na raha ho kinara us ladakhdati hui nav ko jo kisi ne kinara dikhaya aisa hi sukh mere man ko mila hai mai jabse sharan teri aya, mere ram shital bane aag chandan ke jaisi raghav kripa ho jo teri ujiyali punam ki ho jae rate jo thi amavas andheri, jo thi amavas andheri yug-yug se pyasi marubhumi ne jaise savan ka sades paya aisa hi sukh mere man ko mila hai mai jabse sharan teri aya, mere ram jis rah ki mazil tera milan ho us par kadam mai badhau phulo me kharo me, patjhad baharo me mai na kabhi dagmagau, mai na kabhi dagmagau pani ke pyase ko taqadir ne jaise ji bhar ke amrit pilaya aisa hi sukh mere man ko mila hai mai jabse sharan teri aya, mere ram |