Aisa dekha nahi khoobsurat koi Jism jaise Ajanta ki murat koi Jism jaise nigahon pe jadoo koi Jism nagma koi jism khushboo koi Jism jaise mehakti hui chandni Jism jaise machalti hui ragini Jism jaise ke khilta hua ik chaman Jism jaise ke suraj ki pehli kiran Jism tarsha hua dilkasho dilnashin Sandli sandli marmari marmari Husane jaana ki tareef mumkin nahi Husane jaana ki tareef mumkin nahi Afreen afreen afreen afreen Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin Afreen afreen afreen Afreen Husane jaana ki tareef mumkin nahi Husane jaana ki tareef mumkin nahi Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor Man mera khincha chala aaya teri or Mere chehre ke subh zulfon ki shaam Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam Nazron ne teri chhuwa To hai yih jaadu hua Hone lagi hoon main haseen Aafreen Aafreen..... Aafireen (X2) Aafreen Aafreen..... Aafireen (x2) Chehra ik phool ki tarah shadaab hai Chehra uska hai ya koi mehtaab hai Chehra jaise ghazal chehra jaane ghazal Chehra jaise kalli chehra jaise kanwal Chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi Chehra ik khaab bhi chehra tabeer bhi Chehra koi aliflailvi dastaan Chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi.. Mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin Husane jaana ki tareef mumkin nahi Husane jaana ki tareef mumkin nahi Afreen afreen afreen afreen Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin Afreen afreen afreen Afreen Husane jaana ki tareef mumkin nahi |