Husna
Coke Studio Piyush Mishra
Download Indichords IOS App OR Android App for an ad-free experience with strumming patterns, auto-scrolling, progressions and song saving.
Lahore ke uss Pehle jile ke
Do pargana mein pahunche
Resham gali ki Dooje kuche ke
Chauthe makaan mein pahunche
Aur kehte hai jisko Dooja mulk uss
Pakistan mein pahunche
Likhta hun khat mein Hindustan se
Pehlu e Husna mein pahunche
O Husna
Main to hun baitha O Husna meri
Yaadon purani mein khoya
Pal pal ko ginta Pal pal ko chunta
Beeti kahani mein khoya
Patte jab jhadte Hindustan mein
Yaadien tumhari ye bolein
Hota ujala, Hindustan mein,
batein tumhari ye bolein
O Husnaa meri yeh to batado
Hota hai aisa kya Uss gulistan mein
Rehti ho nanhee kabutar see gum tum jahaan
O Husna
Patte kya jhadte hain Pakistan mein
Vaise hi jaise jhadte yahaan
O Husna
Hota ujala kya vaisa hi hai
Jaisa hota Hindustan mein haan
O Husna
Woh heeron ke ranjhe Ke nagmein mujhko
Ab tak aa aake sataien
Woh Bulley Shah ki Takriro ki,
jheene jheene saaye
Woh Id ki iddi Lambi namazey
Seyvaiyon ki jhaale
Woh Diwali key diye sang mein
Baisakhi ke badal
Holi ki woh lakdi jinmein
Sang sang aanch lagai
Lohdi ka woh dhuan jis mein
Dhadkhan hai sulgai
O Husna meri ye toh batado
Lohdi ka dhuan kya ab bhi nikalta hai
Jaisa nilkalta tha uss daur mein vahaan
O Husna
Ke heeron ke ranjhon ke Nagmein kya ab bhi
Sune jaate hai haan vahaan
O Husna
Aur rota hai raaton mein Pakistan kya vaise hi
jaise Hindustan
O Husna