Sun Mitwa
Udit Narayan A.R Rahman lagaan
Download Indichords IOS App OR Android App for an ad-free experience with strumming patterns, auto-scrolling, progressions and song saving.
Har sant kahe sadhu kahe,
sach aur sahas hai jiske mann me
Ant me jit usiki rahe
Aaja re aaja re
bhale kitne lambe ho raste ho
Thake naa teraa yeh tan ho
Aaja re aaja re sun le pukare dagariya
Rahe naa yeh raste taraste ho,
tu aaja re
Iss dharatee kaa hai raja tu,
yeh bat jan le tu
Kathinayi se takra ja tu,
nahee har man le tu
Mitwa sun mitwa tuzko kya darr hai re
Ye dharati apni hai apna ambar hai re
Mitwa sun mitwa tuzko kya darr hai re
Ye dharati apni hai apna ambar hai re
Tu aaja re
Sun lo re mitwa jo hai tumare man me
vohi hamare mann me Jo sapana hai tumra
sapana vohi hamara hai jivan me
Han chale ham liye aasa ke diye naynan me
Diye hamri aasao ke kabhee bujh naa paye
Kabhee aandhiyan jo aake inako bujhaye
Mitwa sun mitwa tuzko kya darr hai re
Ye dharati apni hai apna ambar hai re
Mitwa sun mitwa tuzko kya darr hai re
Ye dharati apni hai apna ambar hai re
Tu aaja re
Sun lo re mitwa purwa bhee gayegi
mastee bhee chhayegi Milke pukaro to
phulo wali jo rut hai aayegee
Han sukh bhare din, dukh ke bin layegi
Ham tum sajaye aao, rangon ke mele
Rehte ho bolo kahe tum yun akele
Mitwa sun mitwa tuzko kya darr hai re
Ye dharati apni hai apna ambar hai re
Mitwa sun mitwa tuzko kya darr hai re
Ye dharati apni hai apna ambar hai re
Tu aaja re