Ye raat bheegi bheegi ye mast fijaye Utha dheere dheere wo chaand pyara pyara Kyun aag si laga ke gumsum hai chandani Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara Ithlati hawa nilam sa gagan Kaliyo pe ye behoshi ki nami Aise me bhi kyun bechain hai dil Jivan me na jane kya hai kami Kyun aag si laga ke gumsum hai chandani Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara Jo din ke ujale me na mila Dil dhundhe aise sapne ko Is raat ki jagmag me dubi Main dhundh rahi hu apne ko Kyun aag si laga ke gumsum hai chandani Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara Aise me kahi kya koi nahi Bhule se jo humko yaad kare Ik halaki si musakan se jo Sapno ka jaha aabad kare Kyun aag si laga ke gumsum hai chandani Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara |