Ye Raate Ye Mausam
Yeh raatein yeh mausam
Nadee ka kinara,
yeh chanchal Hawaa
Kahaa do Dillon ne
Ki milkar kabhi hum
na honge judaa
Yeh kya baat hai
aaj ki chandni mein
Ki hum kho gaye
pyaar ki raagini mein
Yeh baahon mein baahein,
yeh behki nigahe
Lo aane lagaa zindagi ka mazaa
Sitoran ki mehfil
mein karke ishara
Kahaa ab toh saara
jahan hai tumhara
Mohabbat jawaan ho
khula aasman ho
Kare koyi dil arzu aur kya
Kasam hai tumhe
tum agar mujhse ruthe
Rahe saans jab tak
yeh bandhan na toote
Tumhe dil diya hai
yeh waada kiya hai
Sanam main tumhari rahungi sadaa