Yeh kahaan aa gaye hum, Yoonhi saath-saath chalte? Teri baahon mein hai, jaanam, Mere jism-o-jaan pighalte! Teri baahon mein hai, jaanam, Mere jism-o-jaan pighalte! Yeh kahaan aa gaye hum, Yoonhi saath-saath chalte? Oh! Tu badan hai main hoon chhaaya; Tu na ho to main kahan hoon? Mujhe pyaar karne waale, Tu jahan hai main wahan hoon! Hamein milna hi tha, humdam, Isi raah bhi nikalte! Hamein milna hi tha, humdam, Isi raah bhi nikalte! Yeh kahaan aa gaye hum, Yoonhi saath-saath chalte? Hmm...Meri saans-saans mahke, Koi bheena-bheena chandan. Tera pyaar chaandni hai, Mera dil hai jaise aangan. Hui aur bhi mulaayam Meri shaam dhalte-dhalte. Hui aur bhi mulaayam Meri shaam dhalte-dhalte. Yeh kahaan aa gaye hum, Yoonhi saath-saath chalte? Yeh kahaan aa gaye hum, Yoonhi saath-saath chalte? Teri baahon mein hai, jaanam, Mere jism-o-jaan pighalte! Teri baahon mein hai, jaanam, Mere jism-o-jaan pighalte! Yeh kahaan aa gaye hum, Yoonhi saath-saath chalte? |