Suhana safar aur yeh mausam haseen Humein darr hai hum kho na jaaye kahin Yeh kaun hansta hai phoolon mein chhupkar Bahar bechain hai jiski dhun par Kahin gungun, kahin runjhun Ki jaise nache zameen Suhana safar... Yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar Ki jaise allhad chale pi se milkar Pyare pyare yeh nazare nisar hai har kahin Suhana safar... Woh aasman jhuk raha hai zameen par Yeh milan humne dekha yahin par Meri duniya, mere sapne milenge shaayad yahin Suhana safar... |