Capo First Fret: Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain aur mere ik khat main lipti raat padi hai woh raat bhulaa do, mera woh saamaan lauta do patjhad hai kuch hai na ? o! patjhad main kuch patton ki girne kee aahat kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee patajhad ki woh shaakh abhi tak kaanp rahi hai woh shaakh giraa do, mera woh saamaan lauta do ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thi geela mann shayad bistar ke paas pada ho woh bhijwaa do, mera woh saamaan lauta do ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til geeli mahendi ki khushbu, Am jhoot mooth ke shikwe kuch jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do Sab bhijwaa do, mera woh saamaan lauta do ek ijaazat de do bas, jab isko dafanaungi main bhi wahi so jaungee main bhi wahi so jaungee |