Capo On Second Fret Yeh zameen ga rahi hai aasman ga raha hai Saath mere yeh sara, jahan ga raha hai Shaukh kaliyo ke ghunghat sarkane lage hai Mast phulo ke dil bhee dhadakane lage hai Yeh baharo kaa dilkash sama ga raha hai Saath mere yeh sara, jahan ga raha hai Jhumkar parbato pe ghata chha rahee hai Pyaar ki umar shayad karib aa rahee hai Mera dil pyaar ki yeh dastaan ga raha hai Saath mere ye sara, jahan ga raha hai Bhul kar raah koyee hasin aa na jaye Iss jagah koyee paradanashi aa na jaye Iss jagah aaj ek naujawan ga raha hai Saath mere yeh sara, jahan ga raha hai |