Phoolon Ke Rang Se
Kishore Kumar S.D Burman
Download Indichords IOS App OR Android App for an ad-free experience with strumming patterns, auto-scrolling, progressions and song saving.
Phoolon ke rang se, dil ki kalam se
Tujhko likhi roz paati
Kaise bataoon, kis kis tarah se
Pal pal mujhe tu sataati
Tere hi sapne, lekar ke soya
Teri hi yaadon mein jaaga
Tere khayalon mein uljha raha yoon
Jaise ke mala mein dhaga
Haan, baadal bijli chandan paani
jaisa apna pyaar
Lena hoga janam hamein, kai kai baar
Haan, itna madir, itna madhur
tera mera pyaar
Lena hoga janam hamein, kai kai baar
Saanson ki sargam, dhadkan ki vinaa,
Sapnon ki gitaanjali tu
Man ki gali mein, mehke jo hardam,
Aisi juhi ki kali tu
Chhota safar ho, lamba safar ho,
Sooni dagar ho ya mela
Yaad tu aaye, man ho jaaye,
bhid ke bich akela
Haan, baadal bijli...
Poorab ho pachchhim, uttar ho dakkhin
Tu har jagah muskuraae
Jitna bhi jaaoon, main door tujhse,
Utni hi tu paas aaye
Aandhi ne roka, paani ne tokaa,
Duniya ne hans kar pukara
Tasavir teri, lekin liye main,
kar aaya sabse kinara
Haan, baadal bijli...