Kya Khabar Kya Pata
Kya khabar kya pata
kya Khushi hain gham hain kya
Le ke aansoo jo hansi de
Gham ke badle jo khushi de
Raaj yeh jaana usine
Zindagi kya hain zindagi
Kal Ki baatein Bhul jaa
Guzre raatein bhul jaa
Khwab jo sach ho sake na
Unki yaadein bhul jaa
Jo na haare bebasi se
Na Kare shikwa kisise
raaz ye jaana usine
Zindagi kya hain zindagi
Apane dil kaa dard yeh
Umarr bhar haskar piye
Jeena uska jeena hain jo
Auro ki khaatir jiye
Kaam le zindaadili se
Yun hi khele zindagi se
Raaj yeh jaana usine
Zindagi kya hain zindagi