Mausam ne li angdaayi, aayi aayi Laheraake barkha phir chhaayi, Jhoka hawa ka ayega aur iska piya sanglayega Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya, ho, hmm Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya O Piya..., yeh diya.... na bujha hai, na bujhega Meri chaahat ka diya Mere piya ab aaja re mere piya Ho, mere piya ab aaja re mere piya Is diye sang jal raha mera rom rom rom aur jiya Ab aaja re mere piya Faasla tha doori thi....., faasla tha doori thi Tha judaai ka aalam, intezaar mein nazrein thi Aur tum vaha the tum vaha the tum vaha the Jhilmilaate jagmagaate khushiyon mein jhoomkar Aur yahan jal rahe the hum Aur yahan jal rahe the hum Phir se baadal garja hai, garaj garajke barsa hai Jhoomke toofaan aaya hai par tujhko bujha nahin paaya hai O piya yeh diya chahe jitna sataye tuze ye saawan Yeh hawa aur yeh bijliyaan Mere piya ab aaja re mere piya Dekho ye pagli diwani duniya se he ye anjani Jhoka hawa ka ayega aur iska piya sanglayega Oh piya ab aaja re mere piya |