Parda Hai Parda
Mohammed Rafi Laxmikant Pyarelal
Download Indichords Android App for an ad-free experience with strumming patterns, auto-scrolling, progressions and song saving.
Shabab Pe Main Zara Si
Sharab Phekunga
Kisi Hasin Ki Taraf Ye Gulab fekunga
Parda Hai, Parda Hai (x2)
Parde Ke Pichhe Parda Nashin Hai
Parda Nashin Ko BeParda Na Kar Du To
Akbar Mera Nam Nahin Hai
Parda Hai Parda...
Main Dekhta Hoon Jidhar,
Log Bhi Udhar Dekhen
Kahan Thaharati Hai Jakar,
Meri Nazar Dekhen
Mere Khwaabon Ki Shahazaadi,
Main Hoon Akbar Ilahabaadi
Main Shayar Hun Haseeno Ka,
Main Aashiq Mahajabinon Ka
Tera Daaman Na Chhoduunga,
Main Har Chilman Ko Todunga
Na Dar Zalim Zamaane Se,
Ada Se Ya Bahane Se
Zara Apani Surat Dikha De,
Sama Khoobsurat Bana De
Nahin To Tera Nam Leke,
Tujhe Koi Ilzaam Deke
Tuzko Is Mehfil Me Rusva Na Kar Du To
Akbar Mera Nam Nahin Hai
Parda Hai Parda...
Khuda Ka Shukra Hai,
Chehara Nazar To Aaya Hai
Haya Ka Rang Nigaahon Pe,
Phir Bhi Chhaya Hai
Kisiki Jaan Jaati Hai,
Kisiko Sharm Aati Hai
Kisiki Jaan Jaati Hai,
Kisiko Sharm Aati Hai
Koi Aansoo Bahata Hai,
To Koi Muskurata Hai
Satakar Is Tarah Aqsar,
Maza Lete Hain Ye Dilabar
Yahi Dastur Hai Inaka,
Sitam Mashahur Hai Inaka
Khafa Hoke Chehara Chhupa Le,
Magar Yaad Rakh Husn-Waale
Jo Hai Aag Teri Jawani,
Meraa Pyar Hai Sarz Paani
Mai Tere Gusse Ko Thanda Na Kar Du To
Akbar Mera Nam Nahin Hai
Parda Hai Parda...