Shabab Pe Main Zara Si Sharab Phekunga Kisi Hasin Ki Taraf Ye Gulab fekunga Parda Hai, Parda Hai (x2) Parde Ke Pichhe Parda Nashin Hai Parda Nashin Ko BeParda Na Kar Du To Akbar Mera Nam Nahin Hai Parda Hai Parda... Main Dekhta Hoon Jidhar, Log Bhi Udhar Dekhen Kahan Thaharati Hai Jakar, Meri Nazar Dekhen Mere Khwaabon Ki Shahazaadi, Main Hoon Akbar Ilahabaadi Main Shayar Hun Haseeno Ka, Main Aashiq Mahajabinon Ka Tera Daaman Na Chhoduunga, Main Har Chilman Ko Todunga Na Dar Zalim Zamaane Se, Ada Se Ya Bahane Se Zara Apani Surat Dikha De, Sama Khoobsurat Bana De Nahin To Tera Nam Leke, Tujhe Koi Ilzaam Deke Tuzko Is Mehfil Me Rusva Na Kar Du To Akbar Mera Nam Nahin Hai Parda Hai Parda... Khuda Ka Shukra Hai, Chehara Nazar To Aaya Hai Haya Ka Rang Nigaahon Pe, Phir Bhi Chhaya Hai Kisiki Jaan Jaati Hai, Kisiko Sharm Aati Hai Kisiki Jaan Jaati Hai, Kisiko Sharm Aati Hai Koi Aansoo Bahata Hai, To Koi Muskurata Hai Satakar Is Tarah Aqsar, Maza Lete Hain Ye Dilabar Yahi Dastur Hai Inaka, Sitam Mashahur Hai Inaka Khafa Hoke Chehara Chhupa Le, Magar Yaad Rakh Husn-Waale Jo Hai Aag Teri Jawani, Meraa Pyar Hai Sarz Paani Mai Tere Gusse Ko Thanda Na Kar Du To Akbar Mera Nam Nahin Hai Parda Hai Parda... |