Tere darbar me dil tham ke woh aata hai Jisko tu chaahe, hey Nabi tu bulaata hai Tere dar pe sar jhukae mai bhi aaya hoon Jiski bigdi haye Nabi tu chahe banata hai Bhar do jholi meri ya Muhammad Laut kar main naa jaaunga khali Band deedon mein bhar daale aansu Sil diye maine dardo ko dil mein Jab talak tu bana de na tu bigdi Dar se tere na jaaye sawaali Khojte khojte tujhko dekho Kya se kya, ya Nabi ho gaya Bekhabar dar-ba-dar phir raha hoon Main yahan se wahan ho gaya hoon De de ya Nabi mere dil ko dilaasa Aaya hoon door se main hoke ruhaasa Kar de karam Nabi, mujhpe bhi zara sa Jab talak tu.. jab talak tu.. Panaah de na dil ki Dar se tere na jaaye sawaali Bhar do jholi... Jaanta hai na tu kya hai dil mein mere Bin sune gin rahaa hai na tu dhadkane Jaanta hai na tu kya hai dil mein mere Bin sune gin rahaa hai na tu dhadkane Aah nikli hai toh chand tak jaayegi Tere taaron se meri duaa aayegi Aye Nabi haan kabhi toh subah aayegi Jab talak tu sunega na dil ki Dar se tere na jaaye sawaali Bhar do jholi meri ya Muhammad Laut kar main na jaaunga khaali De taras kha taras mujhpe aaka Ab lagaa le tu mujhko bhi dil se Jab talak tu mila de na bichhdi Darr se tere na jaaye sawaali Bhar do jholi meri ya Muhammad Laut kar main na jaaunga khaali Bhar do jholi... |