Aaj se teri saari galiyan meri ho gayi Aaj se mera ghar tera ho gaya Aaj se meri saari khushiya teri ho gayi Aaj se tera gham mera ho gaya O tere kaandhe ka jo til hai O tere seene mein jo dil hai O teri bijli ka jo bill hai Aaj se mera ho gaya O mere khwabon ka ambar O meri khushiyon ka samandar O mere pin code ka number Aaj se tera ho gaya Tere maathe? Tere maathe ke kumkum ko Main tilak laga ke ghoomuga Teri baali ki chhun chhun ko Main dil se laga ke jhoomunga Meri choti si bhulon Ko tu nadiya mein baha dena Tere joode ke phoolon ko Main apni shirt mein pehnunga Bas mere liye tu maalpuve Kabhi kabhi bana dena Aaj se meri saari ratiyan teri ho gayi Aaj se tera din mera ho gaya Tu maange sardi mein amiya Jo maange garmi mein mungfaliya Tu barish mein agar kehde Ja mere liye tu dhoop khila Toh main sooraj? Toh main sooraj ko jhatak dunga Toh main saawan ko gatak lunga To saare taaron sang chanda Main teri god mein rakh dunga Bas mere liye tu kabhi Khill ke muskura dena Aaj se meri saari sadiyan teri ho gayi Aaj se tera pal mera ho gaya |