Kitna haseen chehra Kitni pyari aankhen Kitni pyari aankhen hai Aankhon se chhalakta pyar Kudrat ne banaya hoga Phursat se tujhe mere yaar Teri nazar jhuke toh shaam dhalen Jo uthe nazar toh subaha chalen Tu hase toh kaliyan khil jaaye Tujhe dekh ke hoor bhi sharmaye Teri bikhri bikhri zulfen Teri mehaki mehaki saansen Teri koyal jaisi boli Teri meethi meethi baaten Jee chahe mera main Yu hi tera karta rahu deedar Kudrat ne banaya hoga Phursat se tujhe mere yaar Duniya mein haseen aur bhi hain Hoga na koi tere jaisa haseen Rangeen jawan madhosh badan Tu husno shabab ka hain gulshan Tere ang se khusbu barse Pariyon si sundar kaya Jo kutch socha tha maine Woh sab kutch tujhmein paya Teri ek adaa pe Main sadke jaaun sau baar Kudrat ne banaya hoga Phursat se tujhe mere yaar |