Wada Raha Sanam
Waada raha sanam
honge juda na hum
Chaahe na chaahe zamana
Hamari chahaton ka
mit na sakega fasana
Hamari chahaton ka
mit na sakega fasana
In vaadiyon mein yoon hi
milte rahenge
Dil mein wafa ke diye
jalte rahenge
Yeh manga hai duaon mein
Kami na ho wafaon mein
Rahein teri nigahon mein
Likho na yeh fizaon mein o saajna
Hamari chahaton ka
mit na sakega fasana
Hamari chahaton ka
mit na sakega fasana
Kaisi udasi tere
chehre pe chhayi
Kya baat hai jo teri
aankh bhar aai
Dekho to kya nazaare hain
Tumhari tarah pyare hain
Hanso na mere liye tum
Sabhi to ye tumhare hai o jaane jaan
Hamari chahaton ka
mit na sakega fasana