Aate Jaate Khubsurat Awara Sadkon Pe Kabhi Kabhie Ittefaq Se Kitne Anjaan Log Mil Jaatein Hain Unn Mein Se Kuch Log Bhool Jaatein Hain Kuch Yaad Reh Jaate Hain Aawaz Ki Duniya Ke Doston Kal Raat isi Jagah Mujhko is Kadar Yeh Haseen Khayal Mila Hain Raah Mein Ek Reshmi Rumal Mila Hain Jo Giraya Tha Kisine Jaankar Jiska Ho Le Jaaye Wo Pehchankar Warna Main Rakh Loonga Ussko Apna Jaankar Kisi Husn Wale Ki Nishani Maankar Nishaani Maankar Hanste Gaate Logon Ki Baaton Hi Baaton Mein Kabhi Kabhie Ek Mazaaq Se Kitne Jawaan Kisse Ban Jaate Hain Un Kisso Mein Chund Bhool Jaate Hain Chund Yaad Reh Jaate Hain Taqdeer Mujhpe Meherbaan Hai Jis Shaukh Ki Yeh Daastaan Hai Usne Bhi Shaayad Yeh Paighaam Suna Ho Mere Geeton Mein Apna Naam Suna Ho Door Baithi Yeh Raaz Wo Jaan Le Meri Aawaz Ko Pehchaan Le Kaash Phir Kal Raat Jaisi Barsaat Ho Aur Meri Uski Kahin Mulaqaat Ho Mulaaqat Ho Lambi Lambi Raaton Mein Neend Nahin Jab Aati Kabhi Kabhie Iss Firaaq Se Kitne Haseen Khwab Ban Jaate Hain Unn Mein Se Kuch Log Bhool Jaatein Hain Kuch Yaad Reh Jaate Hain |