Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavazi ki Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se Na mere dil ki dhadkan ladkhadaye meri baato me Na zaahir ho tumhari kashmkash ka raaz nazaro se Chalo ek baar phir se.. Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraye hain Mere hamraah bhi rusvaiya hain mere maajhi ki Tumhare saath bhi guzri hui raato ke saaye hain Chalo ek baar phir se.. Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin Use ek khubsurat mod dekar chhodna achchha Chalo ek baar phir se.. |