Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai Wohi aag phir seene mein phir jal padi hai Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai Kuchh aise hi din the woh jab hum mile the Chaman mein nahi phool dil mein khile the Wohi to hai mausam magar rut nahin woh Mere saath barsaat bhi ro padi hai Koi kash dil pe zara hath rakh de Mere dil ke tukdon ko ek sath rakh de Magar yeh hain khwabon khyalon ki baatein Kabhi toot kar cheez koi judi hai |